Kisi nay Allama Iqbal say pocha
"Aqal ki intiha kya hay?"
Jawab mila:
"Hairat"
Phir pocha gaya:
Hairat ki intaha?
Jawab mila:
"Ishq"
Phir pocha gaya:
"Ishq ki intiha kya hay?"
Farmaya: "Ishq ki koi intiha nahi"
Sawal karnay walay nay kaha: Magar aap nay likha hay,
"Teray ishq ki intiha chahta hon''
Aap nay muskura kr kaha: "Dosray misray mai apni ghalti ka aitraaf b kiya hay k"Meri saadgi toh dekh kya chahta hon". . .